Thursday 19 June 2014

GOLDEN WORDS

51) Bewaqufo ki majlis me baithna apni ruh par zulm karna hai.
52) Allah zulm ki hukumat bahot jald gira deta hai.
53) Zulm buzdili ko badhawa deta hai.
54) Zabardasti se hasil ki gayi kamyabi zahaniyat ko hara deti hai.
55) Bheek mangne se mar jana behtar hai.
56) Jab insaan bheek mangta hai to apna aqeeda kho deta hai.
57) Haq par yakeen rakhne walo ke liye haj jihad hai.
58) Nadaan dost se aqalmand dushman behtar hai.
59) Jahil ka behtrin jawab khamoshi hai.
60) Accha bayan ya takrir wo hai jo mukhtasar aur maani khez ho.
61) Bayan dawa ki tarha hota hai,mukhtasar ho to fayda pohchata hai aur agar badh jaye to nuksan.
62) Be-deen me himmat nahi hoti.
63) jis ki ummid choti hoti hai,us ka gham bahot bada hota hai.
64) sach baat bolne ke liye bolne ki aazadi chahiye.
65) Pachtawa har gunah ko dho deta hai.
66) Bewaqufi aisi bimaari hai jis ka koi ilaaj nahi.
67) Burai ki madad karna acchai par zulm karna hai.
68) Gunah ek bimari hai aur pachtawa dawa.Aur gunah se parhez karna shifa hai.
69) Gham insaan ko waqt se pehle zaeef kar deta hai.
70) takabbur taraqqi ko rokta hai aur qaabilyat ko khatm kar deta hai.
71) maaf karna acchaiyo ka taaj hai.
72) Jo insaaniyat samajhta hai,wo tanhai talash karta hai.
73) Sab se behtar bahes apna haq mangna hai.
74) Galat bayaan haqiqat ko khatm kar deta hai.
75) Jaise hi insaan ki samajhdari badh jati hai,us me kam guftagu karne ki khwahish paida ho jati hai.
76) Agar koi logo ke sath insaaf karna chahta hai to use dusro ke liye bhi wo hi khwahish karni chahiye,jo khud ke liye karta hai.
77) Sab se bada gunah wo hota hai jis gunah ko chota samajh kar kiya jaaye.
78) Qina-at wo anmol chiz hai jo kabhi khatm nahi hoti.
79) hukumat logo ki koshish hoti hai.
80) Jo sach ke khilaaf ladta hai hamesha harta hai.
81) Dusro ke aib talash karna sab se bada aib hai.
82) jald baazi ek kism ka pagal pan hai.
83) laalach kabhi na khatm honi wali ek gulami hai.
84) Jo apni ahamiyat ko janta nahi wo khud ko tabah kar leta hai.
85) Apne farz ko anjaam dena sab se badi sarmaya kari hai.
86) Gussa ek jalti hui mom batti ki tarha hai,jo is par qaabu paa leta hai wo use bujha deta hai aur jo nahi paata wo use hawa deta hai.
87) Jihaad khush haali ka raasta hai.
88) Kanjus se zyada tanha koi nahi.
89) Ilm ameero ka zevar aur garibo ki daulat hai.
90) Jankari tamaam qaabilyat ki jama hai.
91) Jo tumhe ek lafz bhi sikhata hai tumhe us ka shukr guzaar hona chahiye.
92) Jab tak hum ummid nahi karte hum ubharte nahi.
93) Jo zyada hasi mazak ki aadat daal leta hai wo apni aqalamandi faramosh kardeta hai.
94) Sach kadwa hota hai,lekin us ka phal hamesha meetha hota hai.Jhut hamesha meetha ban kar zaahir hota hai aur us ka phal hamesha zahreela hota hai.
95) Kanjusi bahot si buraiyyo ki jad hai.
96) Ilm aur amal judwa hote hai,ilm ke baghair amal nahi ho sakta aur amal ke baghair ilm adhura hai.
97) Jo apni haqiqat ko chupata hai wo apni izzat ke sath khelta hai.
98) jab allah kisi ko be-izzat karna chahta hai to us se ilm dur kar deta hai.
99) Jab aap ki taqat badhti hai,apni khwahishat ko kam kardo.
100) Jo chugli karne wale ki sunta hai, wo apne dost kho deta hai.

No comments:

Post a Comment