Thursday 19 June 2014

GOLDEN WORD

100) Jo chugli karne wale ki sunta hai, wo apne dost kho deta hai.
101) Andaza laga kar faisla karna na-insaafi hai.
102) Jo apni ahamiyat nahi samajhta wo badnaami me gum ho jata hai.
103) Samajhdari se paisa kharch karne wale ko kisi se kuch mangne ki zarurat nahi padti.
104) Koi bhi chiz seekhne ke liye sharmana nahi chahiye.
105) Aqeede ka naam sabr hai,aur ye us tarha hai jaise ke jism ke upar sir,jab sir kat jaata hai to jism kisi kaam ka nahi rahta,jab sabr tut jaata hai to aqeeda nahi bachta.
106) Allah ka karam sab se bada rahnuma hai.
107) Acchi tarbiyat sab se behtar saathi hai.
108) Aqalmandi sab se behtar dost hai.
109) Acchi tahzeeb sab se behtar viraasat hai.
110) Taqabbur se zyada nafrat karne layaq koi chiz nahi.
111) logo ke beech aise raho jaise makkhi,parindo ke beech rahti hai.
112) Logo se mil jaao apni boli ke sath,lekin hamesha un se alag raho apne acche kaamo ki waja se.
113) Sakhawat karo lekin fuzul kharch nahi.
114) Duniya ke peeche mat bhago, balke duniya ko tumhare peeche bhagne do.
115) Aqalmand insaan wo hai jo allah ke fazlo karam se naa ummeed nahi hota.
116) Jo apne aib ko janta hai wo dusro me aib nahi nikalta.
117) Aankh wahi dekhti hai jo dil mahfuz rakhta hai.
118) Ankh ke dekhne ki had hai aur dil ki nazar ko waqt aur jaga bhi qaid nahi kar sakte.
119) Jo nazar aa raha hai,use dekh kar gumrah mat ho jao,jald baazi bhi ek gumrahi hai.
120) Bahot sare kaam ek sath mat karo, balke ek waqt me ek hi kaam karo.
121) Jo tum khud pasand nahi karte wo dusro ke liye bhi mat pasand karo.
122) Qina-at wo khazana hai jo kabhi khali nahi hota.
123) Buzurgo ka mashora nao-jawano ki bahduri se behtar hota hai.
124) Baghair amal ki jaankari mahez ek zubani jama kharch hai.Amal ki jankari hi asal jankari hai.
125) Waqt ko bila waja barbaad karna sab se bada nuksaan hai.
126) jo raaz ko chupana janta hai kaamyabi usko milti hai.
127) Dur andeshi mahfuz raasta hai.
128) Allah aur bande ke rishte ke jaisa koi rishta nahi hai.
129) Duaao se dil ko roshan karo.
130) Dil ko sacchai ki taraf modo.
131) Paarsai se tamaam ayyashi ko kuchal do.
132) Mat becho aakhirat ko duniyaa ke liye.
133) jaha baato ko nazar andaaz kiya jaye waha khamoshi behtar hai.
134) Bila waja ki guftagu se parhez karo.
135) Wo raaste par mat chalo jo galat hai,sahi raaste se bhatakna khatarnaak hai.
136) Allah ki mohabbat me agar tum ko bura bhi bola jaye to mat daro.
137) Allah ki hifazat har cheez me talaash karo.
138) Wo khwahish mat karo jo naa-munasib ho.
139) Agar tumhe sach ki talaash hai,to na sahi raaste se hato aur naa hi shak ko apne me paida hone do.
140) Apni khwahisho ke ghulam mat bano.
141) Be-izzati se kamai hui dolat kisi kaam ki nahi.
142) Khamoshi ki waja se hone wale nuksaan ki bharpaai ho sakti hai,lekin jo nuksaan bolne par hota hai us ki bharpaai nahi ho sakti.
143) Dusro ke aage hath phailane se behtar khud ki khwahish ko qaabu me rakho.
144) Izzat se kamaya hua thoda paisa be-izzati se kamaai hui be-shumaar daulat se behtar hai.
145) Apne raaz ki hifaazat acche se karo.
146) Zarurat se zyada khoj karne wala har cheez me ghaltiya nikalta hai.
147) Kamzoro ko satana ya pareshan karna sab se bada zulm hai.
148) Choti ummido par bharosa mat karo wo barbadi ki jad hai.
149) Aqalmand insaan choti ghalti se bhi seekh leta hai.
150) Aqeedat aur sabr se har shak aur khwahishat ko haraya ja sakta hai.
151) Jo darmiyani raasta ikhtiyar nahi karta wo raaste se bhatak jaata hai.
152) Ajnabi wo hai jis ka koi dost nahi.
153) Jab aqeeda nahi rehta, to zindagi naa ummid ho jaati hai.
154) Jo duniya par bharosa karta hai,hamesha dhoka khata ha

No comments:

Post a Comment